Aaj mai aapko dunia ki sabs badi top 10 websites ke baare me bataunga jo ki dunia me sabse jyada use hoti hai. Aaj internet par laakho websites jiski help se aap har type ki jaankaari bahut hi aasani se paa sakte hai but dunia me itni jyada websites ke hote huye bhi kuch hi aisi top websites hai jo ki dunia me sabse jyada use ki jaati hai.
Kya aap pehle se jaante hai ki world ki top 10 sabse badi websites konsi agar jaante hai to bahut achi baat hai agar nhi jaante to is post ko padhne ke baad aap is baare me jaan jayenge.
Kya aap pehle se jaante hai ki world ki top 10 sabse badi websites konsi agar jaante hai to bahut achi baat hai agar nhi jaante to is post ko padhne ke baad aap is baare me jaan jayenge.
How To Make Android Apps
Top 10 Websites in the World
1. Google.com
Google ek search engine hai jo ki dunia bhar me no.1 hai. Saari.dunia me sabse jyada istemal google ka hi hota hai. Saari dunia me 79% mobile user or 97% desktop user google ka istemaal karte hai. Google me aapko images, web pages, maps, videos, news, books etc. sabki jaankari mil jaayegi.
2. Youtube.com
Youtube online videos dekhne ke liye duniya ki sabse badi website hai. Dunia bhar me youtube ko google ke baad sabse jyada istemal kiya jata hai. Tv ke baad log youtube par hi sabse jyada videos dekhte hai. Youtube par aapko Tv Serials, Tv Chanels, Movies, Comedy, Entertainment, News, Live videos and aapko har type ki video youtube par mil jayegi.
3. Facebook.com
Youtube or google ke baad 3rd number par aati hai facebook social networking sites me no.1 par hai.
saari dunia me facebook 3rd number par aati hai. Facebook ki help se aap dunia me kisise bhi baat kar sakte apni photos or videos bhi share kar sakte hai.
4. Yahoo.com
Yahoo ek search engine hai google ke baad yahoo hi dunia ka sabse bada search engine hai. dunia bhar me laakho log yahoo ka istemaal karte hai.
5. Google.co.in
Google.co.in Google.com ka hi indian version hai. india me iska sabse jyada istemal hota hai india me google.co.in no.1 par hai.
6. Wikipedia.org
Wikipedia ek encyclopedia website hai jo ki bilkul free hai. iski shuruat 2001 me hui thi jo aaj dunia ki sabse badi encyclopedia website ban gayi hai.
7. Baidu.com
Baidu.com ek chinese lnguage search engine hai. jo ki china me sabse jyada use kiya jata hai china ke alawa or bhi desho me iska istemal kiya jata hai.
8. Amazon.com
Amazon dunia ki sabse badi online shopping site hai dunia bhar me log iska istemal online shopping ke liye karte hai iske alawa ye india me bhi bahut popular hai. Aap amazon se koi bhi product online order kar sakte hai yha aapko sabhi type ke products mil jayenge.
9. Qq.com
Qq.com china ki sabse jyada use hone wali internet portal website hai. November 1998 me ise Tencent ne ise banaya tha. Ye website users ko "one-stop online life service" provide karti hai.
10. Reddit.com
Reddit ek american social news aggregation website hai. ye web content tating and discussion website hai jisme aap register kar ke apne content ka link submit kar sakte ho.
Ye thi world ki top 10 websites jo ki dunia me sabse jyada use hoti hai agar aapka koi sawal hai to aap comment box me comment kar sakte hai.
Dunia Ki Sabse Badi Top 10 Websites
Reviewed by Gurdeep Singh
on
December 20, 2017
Rating:
No comments: